- Zanjeer: Yeh tumhare baap ka ghar nahin, police station hai, is liye sidhi tahrah khade raho.
Deewar: Haan, main sign karoonga, lekin main akele sign nahin karoonga, main sabse pehle sign nahin karoonga. Jao pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mera baap ko chor kaha tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne meri maa ko gali deke naukri se nikal diya tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mere haath pe ye leekh diya tha..ye.. Uske baad, us ke baad, mere bhai, tum jahan kahoge main wahan sign kar doonga.
Trishul: Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon.
Trishul: Aur aap, Mr R K Gupta, aap mere najayaz baap hai. Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho, lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta.
Sharabi: Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho
Muqaddar Ka Sikandar: Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain.
Muqaddar Ka Sikandar: Aur waise hi, main is ko yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey mara.
Kaalia: Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahin se shuru hoti hai.
Shahenshah: Rishte me to hum tumhare baap lagte hain, naam hai Shahenshah.
Coolie: Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saathsau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal.
Don: Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai.
Chupke Chukpe: Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota.
Namak Halal: I can talk English, I can walk English, I can laugh English because English is a very phunny language. Bhairon becomes Byron because their minds are very narrow.
Shakti: Narang saab, yeh kaam koi bhi insaan akele kar sakta tha, basharte ki use bhi meri hi tarah yeh pata hona chahiye ke woh is duniya mein akela aaya hai aur akela hi jaayega, isliye agar usey kuch karna hai toh woh bhi akele hi karna hoga.
Mard: Jo mard hota hai, usey dard nahi hota.
Sholay: Ghadi ghadi drama karta hai, saala.- Tumhara naam kya hai, Basanti?
Silsila: Main aur meri tanhaai — aksar ye baatein karte hai.
Kabhi Kabhie: Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai.
Satte Pe Satta: Daaru peene se liver kharab ho jaata hai.
Agneepath: Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal.
Post a Comment